Monday, October 09, 2006

ek aazaad khayal!!



sabse aage hum the, arre sabse pehle bhi to hum hi the. gar chalte rehte to bhi kuch baat thi, par nahin, bas ruk gaye...beech mein kahin. ab khare hain, kyon...pata nahi, kiske liye...ye bhi pata nahi. bas khare hain. kuch der main baith jaate hain...baat-baat pe lait jaate hain. arre bhai log daur rahe hain aur tum khare ho. bhag nahi sakte to chalo... chalte raho...ruko mat. yun tham gaye zindagi ke liye (*laughs*) kabhi kya woh rukegi tumhare liye?! jeetoge tab jab dus ke dus milke kheechoge, teen-chaar ko baitha diya to dum kaise aayega. socho mat...bahut soch liya. sawal karo...jawab dhoondo. par yun in baaton par baitho mat. chalte raho (*sighs*)...kaam chalta rehna chahiye, bas.

(grndps-- on my last visit--sums up our long usual argument on war and freedom in india!!)

2 Comments:

Blogger Mistral Noir said...

bahut umda khayal hai.

10:28 PM  
Blogger all meshed up said...

shukriya:-)

8:45 PM  

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home